
online saman kaise beche – Aaj har koi apna saman online bechna chahta hai. jaise Amazon(Amazon india Apni Dukaan) , flipkart , snapdeal bechta hai kyo ki hum jante hai ki online platform ke dwara hum india me kahi bhi apna saman bech sakte hai. agr aap ki bhi koi shop hai. jis ka saman aap online bechna chahte hai. ya aap online naya business kholna chahte hai. to ye post aap ke liye hai .

Amazon pr seller account kya hota hai (Amazon india Apni Dukaan)?
agr kisi ko bhi jo india pr rahata hai use agr amazon.in pr apana saman bechna hai to use ek account banana padega jise seller account(Amazon india Apni Dukaan) kahe hai es ke liye aap ko kisi ke pas jane ki jarurat nhi hai aaj ki simply amazon.in pr jakar bottom me ek option hota hai seller On amazon ka us pr click karna hai es pr aap ko 2 option milte hai ek professional or ek individual agr aap ka achha khasa business setup hai to aap professional option choose kar sakte hai agr aap new business start kar rahe hai to aap individual choose kare fir aap ke pas ek form aayega jise aap ke business ke bare me tatha ap ke bare me kuch information mangega or aap ka account verify hone ke bad aap amazon pr sell kar sakte hai.

Amazon aap se kitne rupay leta hai ?
Jab aap amazon(Amazon india Apni Dukaan) pr apna saman bechte hai to amazon ko kya fayada hota hai ye ye bahut se log sochte hai or hume paise kaise milte hai ? to sabse pahale amazon ko kya fayada hota hai – aap ke beche saman me se ek hissa amazon rakhata hai ye saman pr depend karta hai ki aap koun sa samana bech rahe hai amazon 4% se 40% tk ka apna cut rakhata hai apna cut rakhne ke bad wo apko paise deta hai.
Saman customer ke pas kaise jata hai ?
Jab aap apna seller account amazon pr open kar lete hai to amazon(Amazon india Apni Dukaan) aap ko ek seller dashboard deta hai jis me aap apne product add kar sakte hai usme uska description dal sakte hai or apne product ki kimat tay kar sakte hai jab koi customer aap ko product ko purchase karta hai to wo aap ko apne dashboard pr dikhai detahai .or ek amazon ka pick up boy ka number or name rahta hai ye pickup boy aap ke pass aata hai or wo saman le jata hai pahale amazon ye suvidha nhi deta tha aap ko hi product ko bhejna padta tha .agr aap choti town me rahte hai to product aap ko hi bhena padega.
App ko paise kaise or kab milte hai ?
Amazon(Amazon india Apni Dukaan) ki kuch policy rahti hai uske anusar hi aap ko paise milte hai generally app ko 7 working days me paise mil jate hai . etna time esliye lagta hai kyo ki amazon ki return policy hai agr customer ko product pasand nhi aaya to wo saman waps kar sakta hai us condition me aap ko paise nhi milenge. aap ki earning aap ko dashboard par dikhne lag jati hai jab aap use bank me transfer ki request dalte hai to wo 24 ghante ke ander aap ke bank account me aa jate hai.
Amazon par aap ko saman bechne ke liye aap ke pas niche diye gaye document hona jaruri hai jo aap ko registration ke time dena honge
- Pan card
- Adhaar card
- TIN Number
- GST Number
- Bank Account
Agr aap bhi online saman bechna chahte hai to aaj hi apna account amazon pr banaye or suru kare apna business.
Agr aap ko ye post achhi lagi ho to share kar or agr koi doubt ho to comment kar ke puche .
Thankyou 🙂
Sir mai Amazon k sath buisness karna chahta hu apna product Amazon par sale karna chahta hu.. par mujhe proper puri details chaiye k mere products jo ki ladies suits hai us par total kitne percentage Amazon lega .. plz help me and provide me full details 9266684087.. TIA
sir send me this prodcut
kese sell kre ye mere id o
par sand kre
HI SIR
MAIN AMAZON PAR SALE BUSINESS KARNA CHAHTI HU
AMAZON PAR APNE PRODUCT KAISE SHYER KARNA H
PLZ AAP MUJHE PURI JANKARI DENE KI KRIPA KARE
DHANYWAD
Hello poonam aap ko amazon par product sell karne ke liye pahale amazon ka seller account banana padega Jo Ki aap es post ke anusar bana sakte hai eske bad aap ke pas verification call amazon Ki taraf se aayega aap jis bhi trah Ka product sell karna chahti h uske niyam ke bare me wo aap ko jankari denge tatha unke commission ke bare me batayenge or aap product kaise Dale eske bare me bhi aap ko janakari denge
sir id thik se nhi bna pa rha hu kya aapse milkar ho sakta hai
हेलो सलमान आप अमेज़न के कस्टमर केयर पर कॉल कर के अपने रजिस्ट्रेशन को पूर्ण कर सकते है। कस्टमर केयर सर्विस से आप को ये भी पता चल पायेगा की आप जो प्रोडक्ट बेच रहे है उस पर कितना कमीशन है और उस पर आप को GST नंबर लेना जरुरी है या नहीं कुछ प्रोडक्ट जैसे बुक आदि पर आप को GST नंबर की जरुरत नहीं पड़ती है।
Hello sir mery pass gst number composition ka h ky m product sell kar Sakta hu ky
Haan aap bilkul apna saman amazon pr sell kar sakte hai
SIR MERE PAS GST NO. NHI HAI KYA BINA GST KA HO SAKTA HAI
@Subham agr aap online Amazon ya flipkart pr apna saman bechana chahte hai to aap ke pas GST number hona chahiye. par agr aap aisa saman bech rahe hai jaise Books ya handmad product ya Khadi ya joot ke product to aap ko GST number ki jarurat nhi hai.
Eyerings sell krn k ly bhi gst no ki jarurt h kya….mere pas nhi h…but Mai sell krna chti hu…help me sir
App starting me bina GST ke suru kar sakte hai fir aap ko GST lena anivary hoga
Bina GST ke only Books Sell kar sakte hai
books ke alawa kuch bhi sell karne ke liye GST Lagega
kya aap ko website likhne ke liye writer cahiye
Nice Information Shared Keep It up